Wednesday, January 26, 2011

Jai Ho

Yeh ek amriki dost jo india dekhne aaya tha aur uske bhartiye dost ke bich batchit par adharit kavita hai

Dekh mein sikh, Dekhe musalman
Dekhe meine Hindu, aur kai insan
Bina hindustaniyo ka mere dost
yeh tera kaisa hindustan.

Us par uska bhartiya dost kehta hai.

Mana alag dharm hai yaha,
Aur shyad alag hai jasba
Koi ram hai yaha,
Toh koi hai misbha.
lekin gum mein bhi ho jiske chere par muskan
Aise hi logo se bana hai mera hindustaan.

Koi mimbai indian yaha, Toh koi knight rider
koi daredevil yaha, toh koi pune warrior.
lekin bharat ke jeet se jiska juda ho abhimaan
Aise hi logo se toh bana hai mera hindustaan.

Cricket ka sachin ho,
Yaa ho sangeet ka rehman.
Police ke shuur ho,
Ya ho BSF ke jawan.
bharat ke unnati ke liye jisne diya ho yogdan
Aise hi logo se bana hai mera hindustaan.

Is par amriki dost bola.

Naa dekha tha bharat ,
Jis tarah aaj tumne dikhaya.
Vivedhta hi bharat ki jaan hai,
Ye aaj tumne muhje sikhaya.
Lakh mushkilo ke baad bhi jo hai balwan
Dost tere is pyare dost ko mera salaam.